Factory Reset Karke Pattern Lock Tode.
Ye method tab use karna chahiye jab aapke liye pehla method work na kare matlab aapke paas aapki email id aur password na ho .Baise aap kafi tariko se apne gmail id aur pasword ko pata kar sakte ho lekin unfortunatly agar nhi kar pa rahe ho to koi baat nhi aap is method ka use kar sakte hai is method me koi id aur password ki jarurat nhi padti hai .
Aap agar computer use karte hai to ye jarur jante honge ki hum computer ko boot kar sakte uski bios setting ko khol sakte hai windows ke load hone se pehle .isi tarah hum mobile ke sath bhi kar sakte hai aur android phone ko bhi load hone se pehle hum uski system setting tak ja sakte hai wo hum aage ke steps me dekhenge ki kaise android ko boot karte hai safe mode me.

Is method ki sabse buri baat ye hai ki aapka data jo kucch bhi phone me dala hoga bo pattern ko todte samay delete ho jayega aur aapka phone jaisa aaya tha khardite samaya baise ho jayega ,lekin haa ye yaad rakhna sirf phone ka data delete hoga na ki usme dale micro sd card ka data delete hoga.Micro sd card ka data ek dam safe rahega aapka usme koi problem nhi aayegi.
To chaliye dekhte hai kaise factory reset karte hai phone ko jabki usko hum open nhi kar sakte hai pattern lock ki wajah se.
Step:1) Sabse pehle aap kya kariye apne mobile ko switch off kar dijiye aur uski battry ko hata dijiye ,iske 2 second baad battery ko fir se laga do (Lekin abhi switch on mat karna)
Step:2) Ab aapko kya karna hai ki apne phone ki recovery mode me jakar phone ko reboot karna hai .Lekin sabhi companies jaise samsung ,micromax,htc etc phones ke recovery mode me pahuchne ke liye alag alag tarike hote hai ,kucch common componies ke tarike main neeche bata raha hoon dhyan se dekhiye aur ek ek word sahi se padhna nhi to recovery mode nhi khol paoge aap.
Samsung : Agar aapke paas samsung ka phone hai to Volume Up + Home + Power key teeno button ko ek sath dabaye rakhna hai lagbhag 10 second tak .(Agar aapke mobile me home ki button nhi hai to koi baat nhi simply volume up+ power key hi dabaye rahiye jab tak samsung ki logo screen nhi dikhne lage)
Note: Dhyan rahe pehle volume up button dabana iske turant hi baad jyada time mat lagana power button dabani hai.
HTC : Agar aapke paas HTC ka phone hai to sabse pehle volume up key dabaye rahiye isko chhodna nhi aur sath hi power key dabana usko bhi mat chhodna dono key ko ek sath dabaye hi rehna hai jab tak ki recovery mode show na karne lage
Note: Dhyan rahe pehle volum up fir power button dabana hai
Micromax : Agar aapke paas Micromax ka phone hai to sabse pehle power key iske baad volume up ki iske baad volume down key teeno ko ek sath dabaye rehna jab tak ki recovery mode na aa jaye.
Note: Yaad rahe volume up ka matlab hota hai jis key se hum gaane ki aawaj badhate hai
volume down ka matlab hota hai jis key se hum gaane ki aawaj kam karte hai
aur power key ka matlab hota hai jis button se hum apne mobile ka switch off kholte hai

Step:3) Ab jaise hi aapke mobile ki recovery mode ki screen khul kar aayegi to aapko usme kayi sare option dikhenge .ab yanha par aapko agar upar jana hai to volume up key dabana aur agar neeche jana hai to volume down key dabana aur agar kisi option par jakar okay karna hai to iske liye power button dabana hoga.
Step:4) Aapko is screen par "Wipe Data/ Factory Reset" ya fir "Restore factory defaults" ya fir "Delete all user data " naam ka koi ek option milega ye aapke phone ki manufacturing par depend karta hai simply jo aapke phone me option ho us par jakar okay karna hai power button dabakar.
Step:5) Iske baad kucch option honge usme se Reboot System Now ka ek option hoga us par jakar okay kar dena power button dabakar.
Step:6) Bas ab kya aapke phone ki rebooting process start ho jayegi ,isme thoda time lagega so aap ghabrana mat .
jaise hi process khatm ho jayegi to aap dekhenge ki aapke android phone se pattern lock puri tarah se hat chuka aur aapka phone bilkul naya jaisa ho gy
0 Comments