ITI course ki puri jankari Hindi me

Hello Friends aap ITI ke baare me to jante honge, Nahi to chaliye koi baat nahi aaj hum is post “ITI course ki puri jankari Hindi me” me ITI se related puri jankari prapt karne ja rahe hai. I hope yah post aapke ITI me admission lene ke dauran hone wale confusion ko dur karege.

ITI course ki puri jankari Hindi me
Aaj hamare desh me education ka level bad raha hai Jiske kaaran hamare desh ke kai students Desh videsh me acchi post par kaam karke apna or desh ka naam kama rahe hai. Par kya ye jaruri hai ki har student Engineer, Doctor, CA ya Businessmen bane. Nahi na kuch kaam aise hote hai jo Na to koi Engineer kar sakta hai or Naa hee Doctor Uske liye Alag se us training ki jarurat hoti hai or vah kaam hote hai Jaise : Carpenter, Electrician, Automobile aadi. To isi tarah ke course hote hai ITI me.

ITI kya hai
ITI yani Industrial training institute (ओद्योगिक प्रशिक्षण संस्था) ek aisa institute hai jo alag alag field me aise course karata hai jisse karne ke baad Aasani se job mil jaati hai. ITI ke kai rojgar dilane wale aise course hai jo aap 8th ya 10th ke baad bhi kar sakte hai. Is tarah ke course karne ke liye naa to jyada kitabi gyan ki or na hee englishi ki jarurat hoti hai jo Hindi madhyam ke chatro ki badi kamjori hoti hai. ITI course ki puri jankari Hindi me

ITI kab or kon kar sakta hai
ITI kisi ek trade me nahi hota uske liye kai saare vikalp hote hai kintu ye nirbhar karta hai aapke area ke ITI me ki vaha par kon konse trade available hai. Aap apne area me available ITI ki jankari nikalne ke baad nirnay le sakte hai ki kis trade me aapka interest hai. or manlo ki aapko kisi particulate trade me  ITI karna hai jo aapke area me available nahi hai to aap aapke area ke ITI me jakar pata kar sakte hai ki vo trade jo aapko pasand hai kaha available hai. fir us hisab se apna plan banaye ki vaha jakar ITI karna hai ya nahi.

Aapko ye jankari kasi lagi comment karke jarur batan or ye post share jarur kare.. thanks